Skip to content Skip to sidebar Skip to footer

Ik Deewar Toot Rahi Hai

Ik Deewar toot rahi hai,
Usmein ek nanha surakh hote hi,
Soorya ki abaadh roshni is paar aa jati hai,
Maano veh isi intzaar mein thi.
Soorya ki anant kirnen,
Us andhere kamre mein roshni bhar deti hain.
Ik deewar toot rahi hai,
Deewaren to tootne ke liye hi hoti hai.
Aaj toot rahi hai, kal ko fir se banegi.
Parson fir tootegi, aur yeh silsila isi tarah chalta rahega.
Kintu yeh badlaav hoga zaroor,
Chahe hum samjhen ya nahin, jaanen ya nahin.
Ya shaayad dekh kar bhi andekha kar dein.
Bus dil mein rakhein yeh aas,
Ki chaahe deewar kitni bhi ho mazboot, toot sakti hai,
Haan, yeh gir sakti hai.

I wrote these lines when a renovation work was under process in my home, prior Diwali, last year.
Thanks & have an amazing weekend!!
Medhavi

Leave a comment