Skip to content Skip to sidebar Skip to footer

SABHI MEIN HAIN EESHVAR VIDYAMAAN

Hain sab insaan ek se,
Sabhi mein hain eeshvar vidyamaan.
Ik hi hai lahu sabka, ik hi jaisi khaal.
Ek jaise hain saare ang,
Chahe alag-alag hain rang.
Ek jaisi hai atma sabhi mein,
Aur chahe maanen ya na maanen,
Maksad bhi sabhi ka ek.
Fir kyon ladte hain yeh aapas mein?
Kyon failate hain nafrat ki aandhi?
Kyon baant-te hain ek dooje ko alag-alag jaatiyon mein,
Kyon ladte hain dharam ke naam par?
Kyon dharam ka arth na samjhen yeh,
Chaahe koi bhi ho dharm, nahin sikhata veh adharm.
Dharm hinsa nahin sikhata,
Dharm to ahinsa ka hai paath padata.
Fir kyon kuchh dharm ke thekedaaron ne vikrit kiya hai dharm ka roop?
Kyon ladwaya hai aapas mein masoom insaanon ko?
Kyoon bahaya hai ek-dooje ka rakt,
Kyon na samjhen yeh jawaab dena hai sabhi ko ek din,
Apne kiye hue karmon ka.
To bhai achhe karm karte chalo,
Buraai se bachte chalo,
Ik din aisa aayega,
Jab karmon ka fal mil jaayega.
Bas yaad rakho sada yeh baat,
Hain sab insaan ek se,
Sabhi mein hain eeshvar vidyamaan.

Thanks & have a great day!!!
Medhavi 🙂

Leave a comment