Skip to content Skip to sidebar Skip to footer

Krodh Kiya To Kya Paya

Krodh kiya to kya paya,
Kya manushya ki samajh mein yeh aaya?
Doosron ko kiya dukhi,
To khud bhi kaun sa reh paya sukhi?
Na samjha abhi tak veh,
Kasht diya usne khud ko hi.
Kisi ko daanta, kisi ko maara,
Kisi ko dhakka diya.
Is ek kartoot ne kitnon ko rula diya.
Shaant raho bhaiyya na karo itna krodh tum,
Na kho apna aapa, shaanti se nikaalo har samsya ka hal.
Pachhtaoge ik din, jab kuchh na rahega haath,
Keval ek meethe bol hain, yahi jaayenge saath.

Thanks & have a great day!!

Medhavi 🙂

Leave a comment