Skip to content Skip to sidebar Skip to footer

AGLE JANAM BHI MOHE BITIYA HI DIJO

Hi friends,

Here I am with a poem on every mother’s feelings about her daughter. I want to dedicate this poem to my daughter “Divyanshi” & would like to thank Mr. Ajay Handa (from Speaking Tree), for giving me the idea of this poem.

 

 

JAB MERI BITIYA KA JANAM HUA,

JAB GOD MEIN MAINE USE LIYA,

LAGA VEH MERA HI TO NANHA ROOP THI.

FIR DHEERE-DHEERE USE BADHTA DEKHA,

MAANO APNE HI BACHPAN KO PUNAH DEKHA.

PAALNE MEIN USE JO KATHINAIYAN AAYIN,

TAB MUJHE MERI MAA BHI YAAD HO AAYIN.

———–

AB VEH BITIYA JISE GOD MEIN MAINE KHILAYA THA,

YUVA HO CHALI HAI, VEH KAD MEIN MUJHSE BADI HAI,

AB VEH MERI SAKHI, MERI SAHELI BAN CHUKI HAI.

HUM DONON AAPAS MEIN BATIYATE HAIN,

HANSTE, KHILKHILATE HAIN.

KUCHH VEH MUJHSE SEEKHTI HAI,

KUCHH MUJHE SIKHATI HAI.

VEH HAI JO MUJHE SAMAJHTI HAI,

JAB MAIN PARESHAN HOON, TAB MERE GALE AA LAGTI HAI.

EESHVAR NE MUJHE DIYA HAI EK AUR AVSAR,

APNI YUVAVASTHA KO PUNAH JEENE KA.

KUSHKISMAT HAIN VE LOG,

JINHEN EESHVAER NE BANAYA MATA-PITA EK BITIYA KA.

———–

JAB MAIN YUVA THI, APNE MATA-PITA KI BHAVNAON SE THI ANJAN,

KI KITNA MUSHKIL HOTA HAI APNI BITIYA KO VIDA KARNA

AUR MANNA USE PARAYA DHAN.

KINTU AAJ JAB MAIN SWAYAM MAA HOON TAB JANNE PATI HOON,

KI VEH MERI SAHELI BHI HO JAYEGI EK DIN MUJHSE VIDA,

KAISE MAAN LOON VEH PARAYA DHAN HAI, KAISE KAR PAAOONGI USE SWAYAM SE JUDA.

HE EESHVAR! EK ARZI TO HAI AAPSE MERI,

AGLE JANAM MOHE BITIYA HI KIJO KI.

AAJ EK AUR ARZI LAGA RAHI HOON,

AGLE JANAM BHI MOHE BITIYA HI DIJO KI.

MEDHAVI JAIN

Leave a comment